ye zindgi kabhi ek jang hai
yun hi ladte jaana hai
Kuch paana ha kabhi kuch khona
aur aage badte jana hai
par is jang ko jeet ke dikhana hai
ye zindgi kabhi ek safar hai
manzil tak jaana hai
rasta manzil se hasin hai
har manzil se ek naya rasta pana hai
aur is safar ko khushi se bitana hai
ye zindgi kabhi ek imtehan hai
mehnat karte jana hai
kabhi paas hone hai kabhi hona haa fail
aur fail ho gaye to fir pas hone ki koshish karte jaana hai
par is imtehan me paas hoke dikhana hai
ye zindgi kabhi ek geet hai
yun hi gate jana hai
kabhi dukh bhara kabhi khushi bhara
bas yun hi gungunana hai
bas is geet ko dil se gana hai
is zindgi ke har ik pal ko has ke bitana hai
gum ho ya khushi har haal me muskurana hai
No comments:
Post a Comment